Wednesday, March 11, 2020

Uski yaad

Din gujar jata hai kam ke tale, dopahar halki si uski yaad aati hai, jis tarah din dhalne lagata hai uski yad badhne lagti hai, shyam aate aate dil jor jor se dhadakne lagta hai,usko aawaj dene lagta hai,or hum apne dil ko samjate hai khayal rakh khud ka wo aane wali nahi, kisi tarah dil thoda sabhal jata hai tabhi aata hai wo waqt jab rat ho jati hai or uski dekhe bina use bat kiye bina dil jor jor se chilane lagta hai, nikalte hai aasu aako se chere par mayusi cha jati hai,dhudati hai aakhe usko charo aur or wo kahi nazar nahi aati, dhakane tej ho jati hai, saas ruk se jati hai,aakho ke aasuo ka ab silab sa ban jata hai,zindagi tabha ho jati hai khud ko khatam kar dene ka man hota hai,fir aahista aahista siskiya bhi tham jati hai or sanata cha jata hai,na kushi na gam andhere me kuch samaj nahi aata hai,fir subah hote hote ek nayi umeed dil me leke fir se shurwat karte hai nayi zindagi ka suraj ke sawere ke sath naya ailan hota hai zindagi alag tarah jine ka.par dil se na uska khayal jata hai na wo bus yahi par aa kar sab kuch ruk sa jata hai.

No comments:

Post a Comment