Teri yad aati hai mujhe tadpati hai.tu nahi aayegi fir bhi tuze nahi bhulati hai
Har ghadi har waqt tera intzaar hai tere liye dil bekarar hai,ek bar aakar aakho ki pyaas buja ja. mile dil ko sukun bus ek baar apna mukhda dikha ja.
Wednesday, March 18, 2020
Yaad
Rat Baki Bat Baki
Chandani rat hai suhana sama hai, tu waha me yaha chand hai do no ke darmiya, me tuze yad karu tu mujhe yaad kare dono ki bate chand din rat kare.bus yuhi chalta rahe yado ka karwa teri meri bate yuhi chalti rahe.
Dill ke usul
So dard jab dil me chupe ho to pyar bhare lafz nahi nikalte
Tukdo me bikhar jane ke baad fir dil se dil nahi judte.
Logo ki Aadat
Halat ke hisab se Logo ko badale ke liye kaha, or wo badal bhi gaye. par itne badal gaye ki unhe hum yad he nai rahe.
Monday, March 16, 2020
सुंदरा
रूपवती सुंदर ती जणू दुधावरची साय नयन तिचे बोलके इथुके सारे सांगून जाय.चेहऱ्यात तिच्या चमक इतकी मन हरून जाय.तिच्या चेहऱ्यावर लाली फुलता जग घायाळ व्हाय.
Aashiki
Nazarya
Q rehna kisi ke sath jise hamara sath gawara nahi
Chod kar chla gaya wo jise hum pasand nahi
Log aate hai matlab ke sath or apna matlab khatam hote nikal jate hai
kyu Kisi ke liya khud ki zindagi ko tabha kare.
zindagi ka usul
Jo jite ji apna na sake wo marne ke bad gam kya karenge
Jo abhi waqt nahi de pa rahe wo bad me kya waqt denge
Khush Rehna hai to apne aap me raho.
Kisi ke rehmo karam par zinda q rahe.
sach or juth
Juth agar ache ke liye ho to acha kaha jata hai,
Par wo bure ke liye ho to use zehar kaha jata hai,
Par har choti bat ke liye agar juth bolna pade iska matlab uss rishte me darare bahot hai.
Wednesday, March 11, 2020
Khubsurti
Kuch is tarah wo khubsurat hai ke nazar hataye nahi hati
Kinte bhi bar fare nazre use nazar unhi par aake ruk jati hai, khuda ka nayab karishma agar kise ko dekhna hai to meri nazar se unhe dekhe aakhe chodiya na jaye to kehna.
Sath
Jaan nahi aap ka sath chahiye, zindagi ke safar me aap ka hath chahiye,
Aapki Jan itni sasti nahi kabhi bhi dede aap,jiwan ke safar me hamesha aapse mulakat chahiye.
Dard
Chand sa mukhda muskuraye baithe the,
Dard dil me chupa ke khilkhilate baithe the,
Paas ja ke unke kano me itna keh diya aap ke dard se hum wakif hai,sun ke ye baat Tut kar bikhar gaye ab na kuch baki hai.
Nazar
Uski yaad
Din gujar jata hai kam ke tale, dopahar halki si uski yaad aati hai, jis tarah din dhalne lagata hai uski yad badhne lagti hai, shyam aate aate dil jor jor se dhadakne lagta hai,usko aawaj dene lagta hai,or hum apne dil ko samjate hai khayal rakh khud ka wo aane wali nahi, kisi tarah dil thoda sabhal jata hai tabhi aata hai wo waqt jab rat ho jati hai or uski dekhe bina use bat kiye bina dil jor jor se chilane lagta hai, nikalte hai aasu aako se chere par mayusi cha jati hai,dhudati hai aakhe usko charo aur or wo kahi nazar nahi aati, dhakane tej ho jati hai, saas ruk se jati hai,aakho ke aasuo ka ab silab sa ban jata hai,zindagi tabha ho jati hai khud ko khatam kar dene ka man hota hai,fir aahista aahista siskiya bhi tham jati hai or sanata cha jata hai,na kushi na gam andhere me kuch samaj nahi aata hai,fir subah hote hote ek nayi umeed dil me leke fir se shurwat karte hai nayi zindagi ka suraj ke sawere ke sath naya ailan hota hai zindagi alag tarah jine ka.par dil se na uska khayal jata hai na wo bus yahi par aa kar sab kuch ruk sa jata hai.
Thursday, March 5, 2020
Kurbban
Kaise khaffa hu usse wo to meri jaan hai.
Lakh karlu jagda usse par use ek dildar me meri jaan kurban hai.
व्यवहार
Jayaj nahi yaha kuch bhi na gussa na pyar hai hakk nahi jata sakte yah duniya ka wyawhar hai.
Truth
Zindagi ka hisab
Zindagi agar man ke hisab se chalti to na jaane aaj hum kaha hote,
Dukh to bus issi bat ka hai,hum dard se chilate rahe or wo majak samaj bithe.
Nazdikiya
Kuch kuch bate, kuch kuch yade, kuch kuch masti, kuch jabardasti,inhi me hota hai apna pan badhtihe nazdikiya.yuhi nahi log milne ko taraste.
Bate
Kuch tum kaho kuch hum kahe, or ye raat yuhi dhalti rahe,taro or chandra ke bich apni bate yuhi chalte rahe.tum kehti raho me sunta rahu teri aakho me yuhi dubta rahu.tere chere par ki muskan se udd jaye meri neede me tuz me Kahi kho sa jau.rat ka safar uhi chalta rahe.tuzme me or mujh me tu yuhi kafila badhta rahe.khtm na ho yado ka silsila.tu mujme or me tujme uhhi ye karwa aage badhta rahe
Itazar
Kuch waqt ke liye he sahi tum mere pass aa jao.
Kuch waqt ke liye he sahi mere ban jao.
Bahot kuch kehna hai bahot kuch sunna hai. teri har khushi mere har gam ko tujse kehna hai. aao mil baithe kahi aisi jagah jaha koi n ho hamre siwa.Aaj dil me bahot dard hai aakho me mere aasu hai.teri he yaad me hai.tere he intzaar me hai.bus aa jao ek bar kar lo thodi bate.sukun mile is dil ko.tere ek di dar se.bus aa jao ek bar bus aa jao ek bar.
Teri Yaad
Roj haste hai roj rote hai.teri yaad me har dam taraste hai.tu aayege ek din lot kar meri zindagi me.yah soch kar har dum teri yad me zulaste hai.