Thursday, October 24, 2019

तेरी कमी है.

Waqt rehte hum sabhal jate to acha hota.na dil tutata na hum badnam hote,bhikhri hui zingadi ko sametna ab mushkil hai,mukkarar zindagi me ab firse Tume pana ab na mukmkin hai,par ye dil hai ke Manta nahi tere siwa kisi or ko ye janta nahi,har saas har aas me basi ho tum ek Nasur ke taraha,jise na nikal sakte hai or nahi Dil me rakh sakte hai,har ghadi tadapte rahete hai,zindagi ke gamo ko zeher ke taraha pite rehte hai,teri yado ne zinda rakha hai ab tak warna tutkar bhikhar Jane wale FISA ke ful bahot hote hai,me hu musafir tum meri manzil ho tume pana mera mukadar hai, na mil paye is zindagi me agar to ye zindagi nahi dukh ka sagar hai.

तकदिर

Lakh koshishe kar ke bhi hum unhe pa na sake.Lakh koshishe kar ke bhi hum unhe pa na sake.Tut kar bhikhar gaye hazaro tukdo me fir bhi wo hamre ho na sake.

यादे

Kuch yade yad aati hai.kuch Bhuli bisri bate yad aati hai.mujhe yad hai har lamha tumare sath gujara huwa.kya tume bhi kuch Bhuli bisri yade satati hai.

निःशब्द

निशब्द या जीवनाला वेदना असे  चीकार घुटमळून श्वास जाता शब्द फुटे ना बोल.

जिंदगी का फलसफा

Bahot kam bahot zyada, aadhi adhuri zindagi aadha adhura wada. kho kar pane wale ko sacha pyar kahete hai, to jisko nahi milta use kya kahenge.zindagi me thokar marne wale to bahot mile hai par zingadi me sath chalne walo ke jarurat hai ab hame.

Wednesday, October 23, 2019

तजूर्बा

Dard bat ke dekha par kisiko uski parwa nahi. log Wahi suna chahte hai jo unhe pasad hai agar na de pao to unko aapki zarurat nahi.

बदनसीब

Khush numa mosam hai badnasib hum.zindagi to chal rahi hai par thak chuke hai hum.

दर्द

Jise manga Mene rab se wo mujhe mila nahi,shidat se pukara jise usne kabhi suna nahi,tut kar chur chur ho gayi sab khawaishe jab usne use chuna jisne use kabhi chaha nahi.

Mohobat

Shidat se mili zindagi ko janat nasib hui aaj, jab dekha jee bhar ke use  dile me thandak see mili muje aaj.

Sirf tum

Din ki shurwat bhi aapse  Hoti hai or khatam bhi aapke sath.
Din sawar jaye hamara agar ho jaye aapse baat.
Din nahi katata hamara AAP ke bin na Hoti hai raat.
kar do hum pe rahem ab to man lo meri baat.. 😞😞😞

Thursday, October 3, 2019

Eahsas

Wo sath nahi hai hamare fir bhi uska ehsaas baki hai, chirago tale daffan ho Gaye hai sare khawb fir bhi uski talash jari hai, bejubha hote hai Dil ke Dard,ashk Baya karte hai sari kaynat,mukamal zindagi ke hote hai kuch Apne he kayde sab ke sab pure ho ye Mumkin nahi hai.

Tuesday, October 1, 2019

Koshish

Kush rehne ke umeed to karte hai,par khush Reh Pana hamara nasib nahi,unke liye aahe to bharte hai par wo hamare mukadar me nahi,sochte hai ki gam bhula kar Khushi se jiyu par us ke Beena khush rehpana ab Mumkin nahi.

Khawishe

Kuch uzade huwe makano ka koi makbara nahi hota,koi nahi hota kisi ke sath fir bhi koi ekela nahi hota,samadar sabkuch Sama leta hai Apne Aap me fir bhi uska khara pan Kam nahi hota, gam kitna bhi kadwa ho Khushi milane se wo mitha nahi hota.sab sahi hai is dunya me bus hamare dekhne ka nazariya sahi nahi hota.